ġhair par lutf kare ham pe sitam yā qismat
thā nasīboñ meñ hamāre ye sanam yā qismat
yaar tū yaar nahīñ baḳht haiñ so ulTe haiñ
kab talak ham ye saheñ dard-o-alam yā qismat
kūcha-gardī se use shauq hai lekin gaahe
is taraf ko nahīñ rakhtā vo qadam yā qismat
kūcha-e-yār meñ thoḌī sī jagah de ai baḳht
māñgtā tujh se nahīñ mulk-e-ajam yā qismat
jān-o-dil meñ se nahīñ ek bhī ab nek-nasīb
donoñ kam-baḳht hue aa ke baham yā qismat
'āsif' ab aur lage karne taraqqī din raat
shāmat-e-baḳht huī merī to kam yā qismat