Asif-ud-Daula

bismil kisi ko rakhna rasm-e-wafa nahin hai

Asif-ud-Daula

1748-1797
bismil kisī ko rakhnā rasm-e-vafā nahīñ hai
aur muñh chhupā ke chalnā shart-e-vafā nahīñ hai
zulfoñ ko shāna kiije yā bhauñ banā ke chaliye
gar paas dil na rakhiye to ye adā nahīñ hai
ik roz vo sitamgar mujh se huā muḳhātib
maiñ ne kahā ki pyāre ab ye ravā nahīñ hai
marte haiñ ham taḌapte phirte ho tum har ik jā
jaanā ki tum ko ham se kuchh mudda.ā nahīñ hai
tab sun ke shoḳh dilkash jhuñjhlā ke kahne laagā
kyā vaz.a merī 'āsif' tū jāntā nahīñ hai
Top Urdushayar.com