Asif-ud-Daula

talib ho wahan aan ke kya koi sanam ka

Asif-ud-Daula

1748-1797
tālib ho vahāñ aan ke kyā koī sanam kā
ho jis ko bharosa na jahāñ ek bhī dam kā
kyā maiñ tujhe ahvāl dil-o-jāñ kā batā.ūñ
ab maiñ to irāda kiye baiThā huuñ adam kā
kī lākhoñ haiñ tadbīr miyāñ ham ne vo lekin
chhūTā na ye dil bāñdhā huā zulf ke ḳham kā
yā vasl ho yā maut koī tarah to hove
kab tak rahūñ pāmāl maiñ is dard-o-alam kā
jalne na diyā ātish-e-ġham se jigar-o-dil
kyā kyā kahūñ ehsān maiñ is dīda-e-nam kā
aayā jo nasha mai kā to shab aañkh meñ us kī
sau rañg se bad-mastī kā rañg aan ke chamkā
vasl us kā mayassar nahīñ sach kahtā hai 'āsif'
kyuuñ apne ta.iiñ rakhtā hai masrūf tū ġham kā
Top Urdushayar.com