Asif-ud-Daula

jab se mere dil mein aa kar ishq ka thana hua

Asif-ud-Daula

1748-1797
jab se mere dil meñ aa kar ishq kā thānā huā
hosh-o-sabr-o-aql-o-dīñ kyā sab se begāna huā
dil hamārā ḳhāna-e-allāh gar mash.hūr thā
so butoñ ke ishq meñ ab ye bhī but-ḳhāna huā
qissa-e-farhād-o-majnūñ raat din paḌhte the ham
so to vo maazī paḌā ab apnā afsāna huā
raat din ye soch rahtā hai mire dal ke ta.iiñ
ai ḳhudā yaañ se vo jā kar kis kā ham khānā huā
kyā haqīqat pūchhtā hai merī tanhā.ī kī tū
jab ki mere paas se pyāre tirā jaanā huā
bhuuk pyaas aur niiñd sab jaatī rahī ai jān-e-man
balki in logoñ meñ maiñ mash.hūr dīvānā huā
shaiḳh jī aayā na va.ade par to ab 'āsif' kā yaar
tum to ḳhush hoge tumhārā hī jo farmānā huā
Top Urdushayar.com