dil jaltā hai shaam savere
ek charāġh aur laakh añdhere
bhīgī palkeñ niiñd se ḳhālī
chain ke dushman rain-basere
log samajhte haiñ saudā.ī
pyaar ne apne bhī din phere
apnā apnā dard hai varna
kis kī galiyāñ kaise phere
un kā vo ma.asūm tabassum
jaise koī phuul bikhere
a ġham-e-daurāñ a ġham-e-jānāñ
dil hai ek sitam bahutere
kaise pahuñche niiñd āñkhoñ tak
baiThā hai dil rasta ghere
tū hī batā ye dard hai kaisā
palkeñ merī aañsū tere