mere hāthoñ meñ nahīñ koī hunar ab ke baras
jaane kis ism pe khultā hai ye dar ab ke baras
kuchh to bhugtā ga.e nā-karda gunāhoñ kī sazā
zad pe āñdhī ke haiñ kuchh aur shajar ab ke baras
raqs aaseb kā jaarī hai mire shahroñ meñ
kis ko darkār hai kis shaḳhs kā sar ab ke baras
jī jalā.egā ye āvāra-o-be-dar honā
dil dukhā.eñge ye mahke hue ghar ab ke baras
tirī ulfat tirī chāhat tirī shafqat ke tufail
kitnā barsegā mirā dīda-e-tar ab ke baras
jaan pichhlā bhī baras ham ne to ro-ro kaaTā
tum ko darpesh haiñ kuchh aur safar ab ke baras
mujh ko chhū mere shab-o-roz ko raushan kar de
mere āñgan meñ bhī pal bhar ko Thahar ab ke baras
vo to har din se kahīñ baḌh ke chamaktā din thā
tire aane kī jab aa.ī thī ḳhabar ab ke baras
tū ne har baar bahut ḳhud ko bigāḌā 'arshī'
merī gar maan to jī bhar ke sañvar ab ke baras