ajnabī Thahre chalo tum yuuñ magar kis vāste
baat mausam kī sahī par muḳhtasar kis vāste
kyā tumhāre shahar meñ bas ek mujrim haiñ hamīñ
is qadar ilzām aa.e apne sar kis vāste
ab to lahroñ se shanāsā.ī rahegī umr bhar
likh gayā vo naam merā ret par kis vāste
ab khulā hai ḳhud se baḌh kar koī sachchā.ī nahīñ
muddatoñ ḳhud se rahe ham be-ḳhabar kis vāste
kyā ḳhabar thī ūñghte zehnoñ ko jo chauñkā ga.ī
lag rahī hai bhiiḌ sī har chauk par kis vāste
mere paas aa.eñ to 'arshī' chuum kar rakh luuñ unheñ
ḳhushk patte uḌ rahe haiñ dar-ba-dar kis vāste