Talib Chakwali

be-kaif masarrat bhi musibat si lage hai

Talib Chakwali

be-kaif masarrat bhī musībat sī lage hai
ai dost mujhe ġham kī zarūrat sī lage hai
rūdād mohabbat kī kisī ko na sunāo
kuchh log haiñ jin ko ye shikāyat sī lage hai
dam toḌtī qadroñ ko bachāne kī uchhal-kūd
fitrat ke usūloñ se baġhāvat sī lage hai
duniyā-e-tamāshā to badaltī hai ka.ī rañg
gah ḳhvāb lage gaah haqīqat sī lage hai
ehsās kā dhokā hai ye jazbāt kā jaadū
apnoñ kī adāvat bhī mohabbat sī lage hai
be-rabt ḳhayāloñ ke shagūfoñ kī latāfat
majbūr ġharīboñ kī zehānat sī lage hai
'tālib' ko sharāfat pe baḌā naaz thā lekin
ab us kī sharāfat bhī himāqat sī lage hai
Top Urdushayar.com