Talib Chakwali

gham-e-dil ki zaban ahl-e-tashaddud kam samajhte hain

Talib Chakwali

ġham-e-dil kī zabāñ ahl-e-tashaddud kam samajhte haiñ
na dil ko dil samajhte haiñ na ġham ko ġham samajhte haiñ
vo kahte haiñ ki hañsnā hai dil-e-insāñ kī kamzorī
navā-e-zindagī ko ziist kā mātam samajhte haiñ
junūn-e-kusht-o-ḳhūn ko naam dete haiñ shujā.at kā
amāvas kī shab-e-tārīk ko pūnam samajhte haiñ
ravādārī ko ham samjhe hue haiñ dard kā darmāñ
mohabbat ko dil-e-majrūh kā marham samajhte haiñ
'mahāvīr' aur 'gautam' aur 'gāñdhī' jis ke rahrav the
ta.ajjub hai ki ham us raah ko pur-ḳham samajhte haiñ
banāyā hai ahinsā ko usūl-e-zindagī ham ne
sukūn-e-zindagī kā raaz 'tālib' ham samajhte haiñ
Top Urdushayar.com