merā ā.īna mirī shakl dikhātā hai mujhe
ye vo apnā hai jo begāna batātā hai mujhe
mere ehsās-e-duī ko ye havā detā hai
merī hastī kā ye ehsās karātā hai mujhe
karb ehsās karātā hai ḳhudī ke darshan
zo.am-e-hastī ke jharoke meñ sajātā hai mujhe
qadr-o-qīmat ko baḌhāne kā baḌhāvā de kar
bahr-e-nīlām kahāñ dil liye jaatā hai mujhe
sādgī merī use detī hai izn-e-guftār
mujh ko aatī hai hañsī jab vo banātā hai mujhe
bhuul jaatā huuñ sabhī jaur-o-jafā ke qisse
jab koī giit mohabbat ke sunātā hai mujhe
kaun suntā hai mire dukh kī kahānī 'tālib'
jis se kahtā huuñ vo apnī hī sunātā hai mujhe