Talib Chakwali

mujhko dimagh-e-garmi-e-bazar hai kahan

Talib Chakwali

mujh ko dimāġh-e-garmī-e-bāzār hai kahāñ
afsurdagī meñ lazzat-e-guftār hai kahāñ
yārān-e-maslahat meñ nahīñ jauhar-e-vafā
ahl-e-ġharaz meñ ḳhūbī-e-kirdār hai kahāñ
lākhoñ kī bhiiḌ meñ bhī huuñ sab se alag-thalag
is shahr meñ ġharīb kā ġham-ḳhvār hai kahāñ
jalvoñ ko bhī hai chashm-e-tamāshā kī justujū
vo pūchhte haiñ tālib-e-dīdār hai kahāñ
kāñToñ meñ aa ga.ī hai gul-e-tar kī tāzgī
ab lutf-e-sair-e-vādī-e-pur-ḳhār hai kahāñ
nākāmiyoñ kī dhuup meñ jalte haiñ dil-jale
sahrā-e-ġham meñ sāya-e-dīvār hai kahāñ
shauq-e-husūl-zar hai to zauq-e-suḳhan na rakh
nūr-e-sahar kahāñ hai shab-e-tār hai kahāñ
dillī kī bhīḌ-bhāḌ meñ gum ho gayā hai dil
tanhā bhaTak rahā huuñ dil-e-zār hai kahāñ
'tālib' ġham-e-hayāt ne jiinā sikhā diyā
ab zindagī kā baar mujhe baar hai kahāñ
Top Urdushayar.com