bezār zindagī se dil-e-muzmahil nahīñ
shāyad ba-qadr-e-zarf abhī dard-e-dil nahīñ
apnā to us ne saath nibhāyā hai umr-bhar
kuchh log kah rahe haiñ ki ġham mustaqil nahīñ
dīvāna-e-mafād hai begāna-e-ḳhulūs
vo ahl-e-aql-o-hosh sahī ahl-e-dil nahīñ
sho.ale kahāñ se ā.eñge kaise khileñge phuul
zaḳhmoñ kī aag dil meñ agar mustaqil nahīñ
vo to hamārī baat ko samjheñge kis tarah
jin kā dimāġh to hai magar jin kā dil nahīñ
kyā ḳhuub inhimāk hai mahv-e-ḳhayāl kā
'tālib' ḳhudā kī zaat bhī is meñ muḳhil nahīñ