Varun Anand

marham ke nahin hain ye taraf-dar namak ke

Varun Anand

Haryana, India

1985
marham ke nahīñ haiñ ye taraf-dār namak ke
nikle haiñ mire zaḳhm talabgār namak ke
aayā koī sailāb kahānī meñ achānak
aur ghul ga.e paanī meñ vo kirdār namak ke
donoñ hī kināroñ pe thī bīmāroñ kī majlis
is paar the mīThe ke to us paar namak ke
us ne hī diye zaḳhm ye gardan pe hamārī
phir us ne hī pahnā.e hameñ haar namak ke
kahtī thī ġhazal mujh ko hai marham kī zarūrat
aur dete rahe sab use ash.ār namak ke
jis samt milā kartī thiiñ zaḳhmoñ kī davā.eñ
sunte haiñ ki ab haiñ vahāñ bāzār namak ke
Top Urdushayar.com