Qateel Shifai

nae ek shahr ko subh-e-safar kya le chali mujhko

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
na.e ik shahr ko sub.h-e-safar kyā le chalī mujh ko
sadā.eñ de rahī hai ek chhoTī sī galī mujh ko
maiñ apnī umr bhar kā chain jab us dar pe chhoḌ aayā
milī hai tab kahīñ jā kar zarā sī be-kalī mujh ko
maiñ qatre gin ke insānoñ kī taqdīreñ banātā huuñ
zarā sī tishna-kāmī ne banā Daalā valī mujh ko
maiñ vo gulshan-gazīda huuñ ki tanhā.ī ke mausam meñ
nahīñ hote agar kāñTe to Dastī hai kalī mujh ko
mohabbat thī use lekin mirā iflās jab dekhā
pareshāñ sī nazar aa.ī vo nāzoñ kī palī mujh ko
'qatīl' ābād jab ghar thā to kyuuñ mujh par kahīñ ġhazleñ
ye ta.ana jaate jaate de ga.ī ik dil-jalī mujh ko
Top Urdushayar.com