kahīñ na aisā ho apnā vaqār khā jaa.e
ḳhizāñ se phuul bachā.eñ bahār khā jaa.e
hamāre jaisā kahāñ dil kisī kā hogā bhalā
jo dard paale rakhe aur qarār khā jaa.e
palaT ke sañg tirī aur pheñk saktā huuñ
ki maiñ vo qais nahīñ haañ jo maar khā jaa.e
usī kā dāḳhila is dasht meñ karo ab se
jo sabr pī sake apnā ġhubār khā jaa.e
bahut qarār hai thoḌī sī be-qarārī de
kahīñ na aisā ho mujh ko qarār khā jaa.e
ajab safīna hai ye vaqt kā safīna bhī
jo apnī god meñ baiThā savār khā jaa.e