ġham ho ki ḳhushī koī tamāshā nahīñ karte
kuchh log kisī baat kā charchā nahīñ karte
be-vaj.h to hotī nahīñ āñgan kī ḳhamoshī
bachchoñ ko har ik baat pe Tokā nahīñ karte
insān kī fitrat kā ajab haal hai yaaro
kuchh peḌ ghane hote haiñ saaya nahīñ karte
ik umr gañvā.ī hai usī moḌ pe ham ne
pal bhar ko musāfir jahāñ Thahrā nahīñ karte
ham teġh-o-sipar chhīn liyā karte haiñ 'anjum'
zālim se kabhī zulm kā shikva nahīñ karte