Iqbal Anjum

gard-e-safar mein aankh se ojhal kitne hi rah-gir hue

Iqbal Anjum

gard-e-safar meñ aañkh se ojhal kitne hī rah-gīr hue
jitne sāya-dār shajar the raah meñ dāman-gīr hue
jīvan bhar kā bandhan ham to ghar se toḌ ke nikle the
lekin kuchh an-jāne rishte pairoñ kī zanjīr hue
khel hī khel meñ ek khilaunā haath se gir kar TuuT gayā
nanhe munne hañste bachche ashkoñ kī tasvīr hue
ham ne jo tahrīreñ likkhīñ sab kī sab matrūk huiiñ
vaqt ke hāthoñ ham bhī kaisī be-ma.anī tafsīr hue
Top Urdushayar.com