dasht-e-talab meñ kab se akelā khaḌā huuñ maiñ
jis kā nahīñ javāb koī vo sadā huuñ maiñ
kis kī talāsh hai mujhe apne vajūd meñ
vo kaun kho gayā hai jise DhūñDhtā huuñ maiñ
ye maiñ ne kab kahā thā ki Thahro mire liye
dekhā to hotā muḌ ke kahāñ rah gayā huuñ maiñ
hai kis kā intizār tujhe rāh-e-raftagāñ
terī hadoñ se duur bahut jā chukā huuñ maiñ
muddat ke baad lauT ke ghar aa gayā to huuñ
ab sochne lagā huuñ koī dūsrā huuñ maiñ