hadd-e-nigāh shaam kā manzar dhuāñ dhuāñ
chhāne lagā hai zehn ke andar dhuāñ dhuāñ
girtī huī phuvār banātī huī dhanak
kuchh der ba.ad rah ga.ī ho kar dhuāñ dhuāñ
lahroñ se kheltā huā kirnoñ kā ik hujūm
uThtā huā sā duur ufuq par dhuāñ dhuāñ
uḌte hue parind ḳhalāoñ meñ gum hue
phir rah gayā nigāh meñ jam kar dhuāñ dhuāñ
kānoñ meñ kashtiyoñ kī sadā gūñjne lagī
phir sāmne hai ek samundar dhuāñ dhuāñ