Iqbal Anjum

phir usi samt hai safar mera

Iqbal Anjum

phir usī samt hai safar merā
raah roke khaḌā hai Dar merā
kaise kaise makīn the us ke
itnā vīrāñ kahāñ thā ghar merā
rā.egāñ ho ga.ī mirī mehnat
aur ye be-samar shajar merā
rāsta hai ki phailtā jaa.e
ḳhatm hotā nahīñ safar merā
phir huā yuuñ ki par hī TuuT ga.e
bas kahāñ thā uḌaan par merā
Top Urdushayar.com