ajiib shor parindoñ kī us uḌaan meñ thā
safar ke baad safar kā maza takān meñ thā
havā chalī jo kabhī chauñk chauñk uThtā thā
tamām dasht hī jaise kisī ke dhyān meñ thā
jo baat us ke muḳhālif thī us se kah na sake
anā kā ek samundar bhī darmiyān meñ thā
zarā sī baat pe jo shaḳhs jaañ pe khel gayā
ḳhabar na thī vo baḌe saḳht imtihān meñ thā
ye kyā ki tū bhī hifāzat na kar sakā merī
tujhe ḳhabar thī ki maiñ bhī tirī amaan meñ thā