Iqbal Anjum

wo surat jaani pahunchani nahin hai

Iqbal Anjum

vo sūrat jaanī pahuñchānī nahīñ hai
magar ḳhushbū to anjānī nahīñ hai
chalo maanā zarā sī baat thī vo
ye ḳhāmoshī to be-ma.anī nahīñ hai
ham aa nikle kahāñ dasht-e-talab meñ
yahāñ to duur tak paanī nahīñ hai
yahāñ har shai har ik rishta hai miTTī
yahāñ kuchh bhī to lā-fānī nahīñ hai
kahāñ ab vo shajar vo ham-safar haiñ
safar meñ koī āsānī nahīñ hai
Top Urdushayar.com