Iqbal Anjum

khula har manzar-e-fikr-o-nazar aahista aahista

Iqbal Anjum

khulā har manzar-e-fikr-o-nazar āhista āhista
chhaTā āḳhir ġhubār-e-rahguzar āhista āhista
vo ik be-nām sā koī jazīra bahr-e-imkā۔n meñ
parindoñ se milī ham ko ḳhabar āhista āhista
nazar meñ chashm-e-tar meñ yā kabhī āġhosh-e-dariyā meñ
guhar takmīl hotā hai magar āhista āhista
na jaane tishnagī thī yā koī ehsās-e-mahrūmī
jale ik aag meñ ham-umr bhar āhista āhista
vo kuchh bhūlī huī yādeñ vo dhundlī chand tasvīreñ
sadā.eñ detī haiñ ab bhī magar āhista āhista
hue jaate haiñ ḳhushiyoñ ke manāzir kam se kam 'anjum'
bichhaḌte jā rahe haiñ ham-safar āhista āhista
Top Urdushayar.com