Iqbal Anjum

pas jis ke na tha kuchh raKHt-e-safar main hi tha

Iqbal Anjum

paas jis ke na thā kuchh raḳht-e-safar maiñ hī thā
raat ke dasht meñ be-ḳhauf-o-ḳhatar maiñ hī thā
duur tak dā.era-dar-dā.era ġharqāb huā
sīna-e-shab meñ siyāhī kā bhañvar maiñ hī thā
baar se aaj har ik shāḳh jhukī jaatī hai
yā chaman meñ kabhī be-barg-o-samar maiñ hī thā
mere atrāf sadāoñ kā ghanā jañgal thā
tez āñdhī meñ bikharne ko magar maiñ hī thā
jaane vo kaun thā maiñ DhūñD rahā thā jis ko
jo mire sāmne aayā thā agar maiñ hī thā
Top Urdushayar.com