ziist be-barg-o-samar ho jaise
koī barbād shajar ho jaise
Duub jaatā hai har ik manzar-e-ḳhvāb
terī āñkhoñ meñ bhañvar ho jaise
koī do pal bhī Thahartā hī nahīñ
dil ki ujḌā huā ghar ho jaise
yuuñ ḳhalāoñ meñ takā karte haiñ
duur tak rāhguzar ho jaise
zindagī hai ki ufuq-tā-ba-ufuq
ik ghanī chup kā safar ho jaise