Iqbal Anjum

na koi aks na aawaz na chehra hoga

Iqbal Anjum

na koī aks na āvāz na chehrā hogā
duur tak ek jhulastā huā sahrā hogā
kuchh to aatā hai nazar din meñ dhuñdalkā hī sahī
shaam Dhalte hī dhuāñ aur bhī gahrā hogā
muntazir kis liye ab tak haiñ charāġhoñ kī laveñ
vo musāfir thā kahīñ aur baserā hogā
ye ujaḌte hue jañgal ye ġhubār aur ye pyaas
log kahte haiñ kisī din yahāñ sahrā hogā
maan bhī jaao ki sar par hai kaḌī dhuup abhī
Dūbtī shaam kā har rañg sunahrā hogā
Top Urdushayar.com