duur tak aa.iiñ nazar dariyā meñ
kashtiyāñ garm-e-safar dariyā meñ
mauj-dar-mauj thiraktī rahī raat
chāñd kī ujlī gagar dariyā meñ
ham na bhūle kabhī un āñkhoñ ko
vo charāġhoñ kā safar dariyā meñ
kis ne chupke se kahā Duub hī jā
kaun thā pichhle pahar dariyā meñ
ham kahāñ kho.e rahe der talak
dekh kar aks-e-shajar dariyā meñ