Iqbal Anjum

jo nazar aata tha bahar se wo kab andar se tha

Iqbal Anjum

jo nazar aatā thā bāhar se vo kab andar se thā
us ke jiine kā salīqa us ke pas-manzar se thā
shaam hote hī udāsī gher letī thī use
rābta us kā kahīñ kyā Dūbte manzar se thā
quvvat-e-parvāz pā kar bhī kahāñ jaatā parind
us ke uḌne kā ta.alluq kuchh to mere ghar se thā
fard thā jis ghar kā us ne bhī na pahchānā use
marne vaale shaḳhs kā nām-o-nasab to sar se thā
guzre lamhoñ kī sadā.eñ der tak aatī rahīñ
kuchh to rishta jaane vāloñ kā ujaḌte ghar se thā
Top Urdushayar.com