Qateel Shifai

koi maqam-e-sukun raste mein aaya nahin

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
koī maqām-e-sukūñ rāste meñ aayā nahīñ
hazār peḌ haiñ lekin kahīñ bhī saayā nahīñ
kise pukāre koī āhaToñ ke sahrā meñ
yahāñ kabhī koī chehra nazar to aayā nahīñ
bhaTak rahe haiñ abhī tak musāfirān-e-visāl
tire jamāl ne koī diyā jalāyā nahīñ
bikhar gayā hai ḳhalā meñ kiran karan ho kar
vo chāñd jo kisī pahlū meñ jagmagāyā nahīñ
taras ga.ī hai zamīñ bādaloñ kī sūrat ko
kisī nadī ne koī giit gungunāyā nahīñ
ujaḌ gayā thā kisī zalzale meñ shahr-e-vafā
na jaane phir use ham ne bhī kyuuñ basāyā nahīñ
'qatīl' kaise kaTegī ye dopahar ġham kī
mire nasīb meñ un gesuoñ kā saayā nahīñ
Top Urdushayar.com