zindagī hai ki har ik gaam nigūñ-sar hai abhī
zehn ghaTte hue ehsās kā mehvar hai abhī
chhūT kar jā.ūñ kahāñ maiñ ki huuñ ḳhud meñ hī asiir
jaane kis dard kā aaseb mire sar hai abhī
zalzala ban ke miTā degī kisī roz mujhe
haa.e vo shai ki jo muzmar mire andar hai abhī
na koī aks na chehra hai na paikar koī
duur tak dhuñd meñ lipTā huā manzar hai abhī
hādse gher na leñ phir sar-e-bāzār mujhe
mere siine meñ vahī shor samundar hai abhī