use manā kar ġhurūr us kā baḌhā na denā
vo sāmne aa.e bhī to us ko sadā na denā
ḳhulūs ko jo ḳhushāmadoñ meñ shumār kar leñ
tum aise logoñ ko tohfatan bhī vafā na denā
vo jis kī Thokar meñ ho sambhalne kā dars shāmil
tum aise patthar ko rāste se haTā na denā
sazā gunāhoñ kī denā us ko zarūr lekin
vo aadmī hai tum us kī azmat ghaTā na denā
jahāñ rifāqat ho fitna-pardāz maulvī kī
bahisht aisī kisī ko mere ḳhudā na denā
'qatīl' mujh ko yahī sikhāyā mire nabī ne
ki fat.h pā kar bhī dushmanoñ ko sazā na denā