mujh pe ilzām dhar gayā dekho
aañkh ashkoñ se bhar gayā dekho
koī raushan zamīr thā shāyad
aur añdheroñ meñ mar gayā dekho
jis ne rakkhā thā sar hathelī par
vo bhī duniyā se Dar gayā dekho
dil ko kitnā sambhāl rakkhā thā
us ko DhūñDo kidhar gayā dekho
kis qadar ajnabī sā lagtā hai
baad muddat ke ghar gayā dekho
mujh ko 'dā.em' yaqīn se bichhḌe
ek arsa guzar gayā dekho