jab bhī dekhā hai bajā dekhā hai
aa.ina ḳhaak huā dekhā hai
ye mirī aañkh nahīñ fitna hai
us ne har shaḳhs ḳhudā dekhā hai
baat karte ho ravānī kī tum
maiñ ne dariyā ko rukā dekhā hai
jaane kitne hī zamāne guzre
maiñ ne har roz nayā dekhā hai
zahr ko zabt kiye baiThā huuñ
yuuñ to har dasht harā dekhā hai
raat bhar niiñd nahīñ aatī mujhe
maiñ ne insān marā dekhā hai
maiñ ne īmān kī ḳhātir 'dā.em'
sar ko neze pe chaḌhā dekhā hai