ehtirām-e-lab-o-ruḳhsār tak aa pahuñche haiñ
bul-havas bhī mire me.aar tak aa pahuñche haiñ
jo haqā.eq the vo ashkoñ se ham-āġhosh hue
jo fasāne the vo sarkār tak aa pahuñche haiñ
kyā vo nazroñ ko jharoke meñ muallaq kar deñ
jo tire sāya-e-dīvār tak aa pahuñche haiñ
apnī taqdīr ko rote raheñ sāhil vaale
jin ko aanā thā vo mañjdhār tak aa pahuñche haiñ
ab to khul jā.egā shāyad tirī ulfat kā bharam
ahl-e-dil jur.at-e-iz.hār tak aa pahuñche haiñ
ek tum ho ki ḳhudā ban ke chhupe baiThe ho
ek ham haiñ ki lab-e-dār tak aa pahuñche haiñ