kab mirī baat tū maanā hai dil
us kā āshiq to zamāna hai dil
yuuñ use dekh rahā hai kab se
kyā tujhe jaan se jaanā hai dil
raat pahlū meñ tire guzregī
ḳhvāb to sirf bahāna hai dil
karnā kuchh ġham ki yahī duniyā hai
isī kā naam zamāna hai dil
ab muqaddar meñ bhī qismat meñ bhī
sirf aañsū hī bahānā hai dil
vo tire paas hī to hai 'dā.em'
ab batā de tū batānā hai dil