Hamza Daim

raat ka wo pahar bhi aaega

Hamza Daim

Gujranwala, Punjab, Pakistan

2004
raat kā vo pahar bhī aa.egā
jhūmegī lau charāġh gā.egā
ishq jab ham ko āzmā.egā
apnī tārīḳh bhuul jā.egā
jhuuT ko sach samajhne vāloñ par
aa.ina qahqahe lagā.egā
sochtā huuñ to ḳhauf aatā hai
tū bhī raste meñ chhoḌ jā.egā
vo to nādāñ hai koī roko use
vo zamāne se haar jā.egā
ham ne pal pal ko āzmāyā hai
ab hameñ vaqt āzmā.egā
hijr kī raat kāTne vaalo
kaun aatā hai kaun aa.egā
Top Urdushayar.com