jurm ulfat kī mujhe ḳhuub sazā detā hai
ḳhat ko paḌhtā bhī nahīñ aur jalā detā hai
TuuT jaate haiñ sabhī ā.ina-ḳhāne mere
jab taḳhayyul tirī tasvīr banā detā hai
mere hākim ko bahut bār-e-garāñ guzregā
koī zālim hai jo zanjīr hilā detā hai
us ke aane kī mujhe jhūTī tasallī mat do
ye dilāsa to mirā dard baḌhā detā hai
mere ahbāb ko kuchh sochnā hogā 'dā.em'
merā dushman mujhe jiine kī duā detā hai