ḳhauf kā taarī silsila kyā hai
har-sū vahshat hai ye huā kyā hai
ruuh zaḳhmī hamārī sab kī hai
mil ke socheñ ki ab davā kyā hai
qulzum-e-ḳhūñ na az-azal Thahrī
is zehānat kā fā.eda kyā hai
har taraf shor in savāloñ kā
kaun hai tū tirā pata kyā hai
ġhair ke ghar lagī to chup hai tū
ruk ki terā abhī jalā kyā hai
kyuuñ bhaTaktī haiñ saḌkoñ pe rūheñ
mar ke jiine kī ye sazā kyā hai
ik ḳhalish sī havā meñ hai shāyad
saañs mushkil sā ho gayā kyā hai
tū bhī insān maiñ bhī insāñ hī
ab ye insāniyat batā kyā hai
jiite ho laash par kisī kī tum
kal vo jītegā to burā kyā hai
dard terā mirā na ho yaksāñ
dard hī hai alāhada kyā hai