huī jo raat pahlū meñ ḳhushī se mar ga.e ham to
agar tere hī āñgan meñ sahar hotī to kyā hotā
guzar to yuuñ bhī jā.egī kaḌaktī dhuup meñ tanhā
tire dāman ke saa.e meñ basar hotī to kyā hotā
hazāroñ rāste vā the magar tujh tak jo pahuñchātī
kahīñ vo ek chhoTī sī Dagar hotī to kyā hotā
tirī is sard-mehrī meñ kasak sī bhī numāyāñ hai
ḳhudāyā ye navāzish bhī na gar hotī to kyā hotā
tirī sab dāstānoñ meñ mire qisse likhe hote
duā vo ek merī bā-asar hotī to kyā hotā
bahut hī pur-sukūñ nikle tire āġhosh se phir ham
ki ye āsūdgī āThoñ pahar hotī to kyā hotā