Dinakshi Sahar

lakh chehre the magar tujh sa kahin par bhi na tha

Dinakshi Sahar

Yamuna Nagar, Haryana, India

1977
laakh chehre the magar tujh sā kahīñ par bhī na thā
thā na behtar tujh ko kho kar haal bad-tar bhī na thā
itnā kar detā ki tū koī mujhe ilzām de
dī sazā par jurm koī to mire sar bhī na thā
laḌkhaḌā.e pair phir kyuuñ kyuuñ nazar kho sī ga.ī
sirf terī yaad thī hāthoñ meñ sāġhar bhī na thā
ho gayā jitnā ki tanhā dostoñ kī bhiiḌ meñ
dasht-o-vīrāañ meñ akelā ḳhud ko pā kar bhī na thā
sach hai yuuñ to ġham bahut the qaid kar paa.e nahīñ
āsmāñ sar pe khulā thā dil ye be-par bhī na thā
thī na koī aisī manzil jo mujhe āvāz de
mujh ko rakkhe bāñdh kar aisā mirā ghar bhī na thā
Top Urdushayar.com