tarab kā rañg ruḳh-e-gul pe āshkār aayā
kalī sī khil ga.ī jūñhī vo gul-ezār aayā
taḌap ke jaan nikal jā.egī abhī sayyād
na kahiyo baaġh meñ phir mausam-e-bahār aayā
milā maiñ ḳhaak meñ mar mar ke aah par to bhī
na be-qarārī-e-dil ke ta.iiñ qarār aayā
mirī vafā pe tujhe roz shak thā ai zālim
ye sar ye teġh hai le ab to e'tibār aayā
ye shauq dekho pas-e-marg bhī 'tajallī' ne
kafan meñ khol diiñ āñkheñ sunā jo yaar aayā