samand-e-garm jo yaañ us savār kā pahuñchā
ġhubār tā-falak is ḳhāksār kā pahuñchā
tū sach batā ki tujhe itnī kyuuñ hai bechainī
magar payām kisī be-qarār kā pahuñchā
male hai paañv se apne vo lāla-rū har-dam
ye martaba to dil-e-dāġh-dār kā pahuñchā
hai yaañ talak to nazākat guloñ ke gajre se
lachakne lagtā hai us gul-azār kā pahuñchā
qafas se chhuTne kī ummīd hī nahīñ 'afsos'
husūl kyā hai jo muzhda bahār kā pahuñchā