gul bhī ḳhush-tal.at hai par ai maah tū kuchh aur hai
baas us meñ aur kuchh hai tujh meñ bū kuchh aur hai
kahne sunñe kā nahīñ ye vaqt jā vaa.iz kahīñ
ālam-e-mastī meñ apnī guftugū kuchh aur hai
hūr-o-ġhilmāñ kī havas kāfir ho jis ko Tuk bhī ho
āshiqoñ ke dil kī zāhid aarzū kuchh aur hai
Toktā to maiñ nahīñ par in dinoñ nām-e-ḳhudā
ḳhuub chamke ho tumhārā rañg-e-rū kuchh aur hai
tasht-o-ḳhanjar gardan-o-sar jam.a haiñ mat der kar
qasd gar dil meñ tire ai jañg-jū kuchh aur hai