us par tumhāre pyaar kā ilzām bhī to hai
achchhā sahī 'qatīl' pa badnām bhī to hai
āñkheñ har ik hasīn kī be-faiz to nahīñ
kuchh sāgaroñ meñ bāda-e-gulfām bhī to hai
palkoñ pe ab nahīñ hai vo pahlā sā bār-e-ġham
rone ke ba.ad kuchh hameñ ārām bhī to hai
āḳhir burī hai kyā dil-e-nākām kī ḳhalish
saath us ke ek lazzat-e-be-nām bhī to hai
kar to liyā hai qasd ibādat kī raat kā
raste meñ jhūmtī huī ik shaam bhī to hai
ham jānte haiñ jis ko kisī aur naam se
ik naam us kā gardish-e-ayyām bhī to hai
a tishna-kām-e-shauq ise aazmā ke dekh
vo aañkh sirf aañkh nahīñ jaam bhī to hai
munkir nahīñ koī bhī vafā kā magar 'qatīl'
duniyā ke sāmne mirā anjām bhī to hai