har ghar ke ās-pās samundar lagā mujhe
kitnā muhīb shahr kā manzar lagā mujhe
ḳhilqat bahut thī phir bhī koī boltā na thā
sunsān rāstoñ se bahut Dar lagā mujhe
qātil kā haath aaj ḳhudā ke hai rū-ba-rū
dast-e-duā bhī ḳhuun kā sāġhar lagā mujhe
yuuñ reza reza huuñ ki koī bhī huā na thā
yuuñ to tirī nigāh kā kañkar lagā mujhe
baiThe-biThā.e kūcha-e-qātil meñ le gayā
ma.asūm dil bhī kitnā sitamgar lagā mujhe
kis kis ne chuTkiyoñ meñ uḌāyā hai merā dil
chāhe to tū bhī āḳhirī Thokar lagā mujhe
gulchīñ palaT ke sab tire kūche se aa.e haiñ
phūloñ ke rāste meñ tirā ghar lagā mujhe
vo jāgtā rahā to qayāmat bapā rahī
vo so gayā to aur bhī kāfar lagā mujhe
dekhā jab aañkh bhar ke use Dūbtā gayā
aalam tamām ālam-e-dīgar lagā mujhe
us kī ḳhamoshiyoñ meñ nihāñ kitnā shor thā
mujh se sivā vo dard kā ḳhūgar lagā mujhe
jis aa.ine meñ bhī tirā paikar samā gayā
us aa.ine meñ apnā hī jauhar lagā mujhe
yā mere dil se hasrat-e-parvāz chhīn le
yā mere paas aa ke na.e par lagā mujhe
sāhil pe jo khaḌā thā tamāshā banā huā
vo gahre pāniyoñ kā shanāvar lagā mujhe
sochā to chuur chuur the shīshe ke ghar tamām
dekhā to haath haath meñ patthar lagā mujhe
ā.ankhoñ se gard jhaaḌ ke dekhā to dosto
kotāh qad bhī apne barābar lagā mujhe
tārīkiyoñ meñ nuur kā haalā bhī thā kahīñ
dasht-e-ḳhayāl apnā muqaddar lagā mujhe
chheḌī kuchh is tarah se 'jamīl' us ne ye ġhazal
har ek sher qand-e-mukarrar lagā mujhe