Jameel Malik

DhunDte phirte hain zaKHmon ka mudawa nikle

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
DhūñDte phirte haiñ zaḳhmoñ kā mudāvā nikle
is bhare shahr meñ koī to masīhā nikle
uf ye amboh-e-ravāñ haa.e mirī tanhā.ī
kahīñ rasta nazar aa.e koī tum sā nikle
chāñd se chehroñ pe pathrā.ī huī zard āñkheñ
koī batlāo ye kis shahr meñ ham aa nikle
pas-e-dīvār khaḌā hai koī tanhā kab se
tū na nikle tire ghar se tirā saaya nikle
jin pe sau naaz kare anjuman-ārā.ī bhī
ġhaur se dekhā to vo log bhī tanhā nikle
ye sitāroñ ke taḌapte hue sīmīñ paikar
jaane kab raat Dhale nuur kā dariyā nikle
chāñd sūraj se bhī tārīkī-e-daurāñ na ga.ī
dekhiye parda-e-aḳhlīq se ab kyā nikle
Top Urdushayar.com