Jameel Malik

doston ke darmiyan bhi hum ko tanha dekhte

Jameel Malik

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1928-2001
dostoñ ke darmiyāñ bhī ham ko tanhā dekhte
tum kabhī aate sar-e-mahfil tamāshā dekhte
ā.ina-ḳhānoñ meñ kyā rakkhā hai hairat ke sivā
kūcha-o-bāzār meñ ḳhūn-e-masīhā dekhte
maut ko bhī ham banā lete matā-e-zindagī
qatl yuuñ hote ki sab daanā o biinā dekhte
qais kī mānind kyuuñ tasvīr ban kar rah ga.e
parda-e-mahmil uThā kar rū-e-lailā dekhte
meñ tumhāre husn kā be-sāḳhta iz.hār huuñ
apne ā.īne meñ merā bhī sarāpā dekhte
DhūñDne nikle haiñ tujh ko māvarā-e-āb-o-gil
umr guzrī yam-ba-yam sahrā-ba-sahrā dekhte
kyā ye kam hai farsh se tā-arsh ho aa.e 'jamīl'
chaar din kī zindagī meñ aur kyā kyā dekhte
Top Urdushayar.com