jurm terā na sahī merī sazā ḳhuub sahī
ā.ina-ḳhāna-e-hastī kī adā ḳhuub sahī
paas se to tirī āñkhoñ ke bhañvar le Duube
duur se jalva-e-girdāb-e-balā ḳhuub sahī
kaisā sāvan hai ki jo khul ke barastā hī nahīñ
dekhne meñ tirī zulfoñ kī ghaTā ḳhuub sahī
ghar meñ jo baat hai vo tere shabistāñ meñ kahāñ
jān-e-yārāñ tere kūche kī havā ḳhuub sahī
zauq-e-jalvat meñ tab-o-tāb-e-haqīqat bhī to hai
shauq-e-ḳhalvat-kada-e-sāz-o-sadā ḳhuub sahī
din ko sahrā meñ bagūloñ kā safar bhī dekho
sub.h-dam baaġh meñ ye raqs-e-sabā ḳhuub sahī
sar-zamīneñ haiñ bahut ruuh ke pātāl meñ bhī
māh-o-mirrīḳh pe āvāz-e-darā ḳhuub sahī
dost zindān-e-anāsir se rihā.ī ma.alūm
dasht-e-imkān-e-taḳhayyul kī fazā ḳhuub sahī
vus.ateñ aur bahut haiñ ġham-e-daurāñ ke liye
qibla-e-jāñ ke liye qibla-numā ḳhuub sahī
ḳhūb-tar hai mirī taz.īn se har paikar-e-jāñ
terī taḳhlīq kā har naqsh-e-baqā ḳhuub sahī
paañv meñ apnā hī saaya hai pareshān 'jamīl'
sar pe dastār-e-par-o-bāl-e-humā ḳhuub sahī