parbat parbat ghuum chukā huuñ sahrā sahrā chhān rahā huuñ
har manzil ke haq meñ lekin kāfir kā īmān rahā huuñ
tere dar par umr kaTī hai phir bhī kyā anjān rahā huuñ
duniyā bhar ke sajdoñ meñ apne sajde pahchān rahā huuñ
duur sunahre gumbad chamke lekin gardan kaun jhukā.e
maiñ to jannat bhī kho kar āzād-manash insān rahā huuñ
dekh mirī anmol sharāfat luT bhī gayā sharminda bhī huuñ
jiit bhī lī iḳhlās kī baazī haar bhī apnī maan rahā huuñ