rāh-e-talab meñ aaj ye kyā mo.ajaza huā
ḳhvāb-e-adam meñ jo bhī gayā jāgtā huā
maidāñ meñ haar jiit kā yuuñ faisla huā
duniyā thī un ke saath hamārā ḳhudā huā
barsoñ kī dostī kā chalan kyā se kyā huā
kis muñh se ham mileñge agar sāmnā huā
sadiyoñ kā dard vaqt kī āvāz ban gayā
phir se bapā vo ma.arka-e-karbalā huā
laayā hai rañg ḳhūn-e-shahīdāñ ba-faiz-e-shauq
nazroñ ke sāmne hai gulistāñ khilā huā
patthar bane hue the zabāñ de gayā hameñ
ehsās kī ragoñ meñ lahū boltā huā
rāheñ simaT simaT ke nigāhoñ meñ aa ga.iiñ
jo bhī qadam uThā vahī manzil-numā huā
āñkhoñ meñ mish.aleñ haiñ firozāñ davām kī
dil meñ hai terī yaad kā kāñTā chubhā huā
tū manzil-e-hayāt se aage nikal gayā
maiñ aa rahā huuñ terā pata pūchhtā huā
jaañ nazr kī to donoñ jahāñ mil ga.e hameñ
tai marg o zindagī kā har ik marhala huā
yuuñ dil meñ aaj nuur kī bārish huī 'jamīl'
jaise koī charāġh jalā de bujhā huā